zindagi apna faisla KHud likhegi

hum apni barahnagi chhupate phirte hain
aisi haalat mein taaruf ka falsafa

diwangi mein badbadana hota hai
bikhri chizon ke ambar mein

kis kis ka rutba yaad rakhte
hum ne marzi ki tartib bana li

khushbu ka ehtimam kahan se karte
badbu hamein zyaada pur-tapaki se mili

hum apne hi jismon ko chhu kar khush ho jaane wale
sadand deti chizon se safai mang rahe hain

hamare gharon ki chhaton par be-awaz barish hoti hai
hum jhulaste kamron mein

pani ke khwab dekhne ke liye
apne bistaron se dur ja ke sote hain

hamari aankhon ke shishon mein nind nahin
maut aa ke apna chehra dekhti hai

hum wo ukhde raste hain
jis ko gird ke pahre-daron ne hamwar nahin hone diya

hamari tawil sarguzisht mein takrar hi takrar hai
hamein sirf ek rukh wale safhe par tahrir kiya gaya

jo apne pahle hisse se aa milta hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close