zindagi

aur tufan ke baad
ukhde gire pedon bhige tanon

subh ki marghali dhup mein sukhte sabz patton ki bu mein
main tanha chala ja raha hun

mere chaaron taraf
tanki unchi chhaten hain patangon ki manind bikhri hui

aur lakdi ki shahtiren jaise patangon ke tute hue hath
aur bijli ki taren ki jaise patangon ki uljhi hui dor

hawa nam hai
aur shahr ke chauk par gidh utar aae hain

aur ukhdi jadon ke kinaron ki gili zamin par
phate bhige kapdon mein bachche

gharaunde banate hain billor ki goliyan khelte hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close