andalibon ko mili aah-o-buka ki talim aur parwanon ko di soz-e-wafa ki talim jab har ek chiz ko qudrat ne ata ki talim aai hisse mein tere zauq-e-fana ki talim narm o nazuk tujhe aaza diye jalne ke liye dil diya aag ke sholon pe pighalne ke liye rang taswir ke parde mein jo chamka tera khud-ba-khud lut gaya jalwa-e-rana tera dhaal kar kal-bud-nur mein putla tera yad-e-qudrat ne banaya jo sarapa tera bhar diya kut ke soz-e-gham-e-shauhar dil mein rakh diya chir ke ek shola-e-muztar dil mein tu wo thi shama ki parwana banaya tujh ko tu wo laila thi ki diwana banaya tujh ko raunaq-e-khawlat-e-shahana banaya tujh ko nazish-e-himat-e-mardana banaya tujh ko naz aaya tere hisse mein ada bhi aai jaan-faroshi bhi, mohabbat bhi, wafa bhi, aai aai duniya mein jo tu husn mein yakta ban kar chaman-e-dahr mein phuli gul-e-rana ban kar rahi man bap ki aankhon ka jo tara ban kar dil-e-shauhar mein rahi khal-e-suwaida ban kar husn-e-khidmat se shagufta dil-e-shauhar rakkha ki qadam jada-e-taat se na bahar rakkha teri fitrat mein murawwat bhi thi gham-khwari bhi teri surat mein ada bhi tarah-dari bhi jalwa-e-husn mein shamil thi niko-kari bhi dard aaya tere hisse mein, to khuddari bhi aag par bhi na tujhe aah machalte dekha tapish-e-husn ko pahlu na badalte dekha tu wo ismat ki thi o aaina-sima taswir husn-e-sirat se thi teri mutajala taswir lakh taswiron se thi ek teri zeba taswir tujh ko qudrat ne banaya tha sarapa taswir nur hi nur tere jalwa-e-mastur mein tha anjum-e-naz ka jhurmut rukh-e-pur-nur mein tha lab mein ejaz haya chashm-e-fusun-saz mein thi ki qayamat ki ada tere har andaz mein thi shakl phirti jo teri dida-e-ghammaz mein thi barq-e-betab teri jalwa-gah-e-naz mein thi ye wo bijli thi qayamat ki tadap thi jis mein shola-e-nar-e-uqubat ki tadap thi jis mein ye wo bijli thi jo tegh-e-sharar-afshan ho kar kaund uthi qila-e-chittaud mein jaulan ho kar ye wo bijli thi jo soz-e-gham-e-hirman ho kar khak si lot gai teri pashiman ho kar ye wo bijli thi tujhe jis ke asar ne phunka rafta rafta tapish-e-soz-e-jigar ne phunka aah o ishwa o andaz o ada ki dewi aah o hind ke namus-e-wafa ki dewi aah o partaw-e-anwar-e-safa ki dewi o ziyarat-kada-e-sharm-o-haya ki dewi teri taqdis ka qael hai zamana ab tak teri iffat ka zaban par hai fasana ab tak aafrin hai teri jaan-bazi o himmat ke liye aafrin hai teri iffat teri ismat ke liye kya mitaega zamana teri shohrat ke liye ki chali aati hai ek khalq ziyarat ke liye naqsh ab tak teri azmat ka hai baitha dil mein tu wo dewi hai, tera lagta hai mela dil mein
Please share if you liked this!!!