ek sharminda nazm

kin harfon ki tafhim karun
kin rangon ki tajsim karun

kis rah chalun aur chalta jaun khula nahin
abhi darwaza to khula nahin

kis phul ki madh likhun
ai harf-e-sahar-asar ai yaum-e-azadi

main ne to nahin dekha
tere lams se kaun sa sang gulab hua aaina aab hua

is bagh mein kaun si musht-e-khak khuli khushbu aazad hui
be-bas aur sat bahaaren aur khizaen

ek hi mausam ki ajrak main dekh chuka hun
lekin main ne wo din kis din dekha hai

jab aankhen rauzan chhod ke phulon ki kyari mein bas jati hain koyal gati hai
koyal gati hai

jhule padte hain baghon mein
husn se reza reza wasl tapakta hai

main ne kab dekha hai
abhi darwaza to khula nahin

abhi darwaza to khula nahin
darwaza khule to main bhi qalam mein taza hawa ki siyahi bhar lun aur ek khat likhun

main tere pate par khat likhun
tu apna taaruf bhej main tujh par ek pyari si nazm likhun

ki suna hai tu bhi pyara sa ek lams hai
ek lamha hai

lekin main ne tujhe kab chakha sungha dekha suna mahsus kiya hai
jab se main jaga hun

tu to jantriyon mein morcha-band hai soya hua hai
jag ai nadida saat

ai sadiyon ka andoh liye lamhe ab mujh par bhi mutthi bhar sahar chhidak
bas ek jhalak dikhla

teri ek jhalak
mere panch hawas ki bakhiya bakhiya udhdi jholi si bhi degi bhar bhi degi

phir main tujh par ek la-fani nazm likhunga
tujhe sunane aaunga


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close