chahat mein kya duniya-dari ishq mein kaisi majburi

chahat mein kya duniya-dari ishq mein kaisi majburi
logon ka kya samjhane do un ki apni majburi
main ne dil ki baat rakhi aur tu ne duniya walon ki
meri arz bhi majburi thi un ka hukm bhi majburi
rok sako to pahli barish ki bundon ko tum roko
kachchi mitti to mahkegi hai mitti ki majburi
zat-kade mein pahron baaten aur milin to mohr ba-lab
jabr-e-waqt ne bakhshi hum ko ab ke kaisi majburi
jab tak hansta gata mausam apna hai sab apne hain
waqt pade to yaad aa jati hai masnui majburi
ek aawara baadal se kyun main ne saya manga tha
meri bhi ye nadani thi us ki bhi thi majburi
muddat guzri ek wade par aaj bhi qaem hain 'mohsin'
hum ne sari umr nibahi apni pahli majburi

ittifaq apni jagah KHush-qismati apni jagah

ittifaq apni jagah khush-qismati apni jagah
khud banata hai jahan mein aadmi apni jagah
kah to sakta hun magar majbur kar sakta nahin
ikhtiyar apni jagah hai bebasi apni jagah
kuchh na kuchh sachchai hoti hai nihan har baat mein
kahne wale thik kahte hain sabhi apni jagah
sirf us ke hont kaghaz par bana deta hun main
khud bana leti hai honton par hansi apni jagah
dost kahta hun tumhein shaer nahin kahta 'shuur'
dosti apni jagah hai shaeri apni jagah

Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close