allah main ye taj mahal dekh raha hun

allah main ye taj mahal dekh raha hun
ya pahlu-e-jamuna mein kanwal dekh raha hun
ye sham ki zulfon mein simatte hue anwar
firdaus-e-nazar taj-mahal ke dar-o-diwar
aflak se ya kahkashan tut padi hai
ya koi hasina hai ki be-parda khadi hai
is khak se phuti hai zulekha ki jawani
ya chah se nikla hai koi yusuf-e-sani
gul-dasta-e-rangin kaf-e-sahil pe dhara hai
billor ka saghar hai ki sahba se bhara hai
aaghosh-e-tajalli mein nazar soi hui hai
ya sham ke zanu pe sahar soi hui hai
ya bar-lab-e-jamuna koi doshiza naha kar
baithi hai takalluf se adaon ko chura kar
thahri hui ya husn ke markaz pe nazar hai
ya waqt ke hathon mein gareban-e-sahar hai
ya koi bat-e-mast hai jo tair chuki hai
aa kar abhi dariya ke kinare pe ruki hai
ya nur ka tika koi sahil ki jabin par
ya aalam-e-baala utar aaya hai zamin par
ya husn ke iqbaal ka chamka hai sitara
nikhri hui chandi hai ki thahra hua para
hauzon ke khazane hain ki bikhre se pade hain
pahre pe nigahban hain ya sarw khade hain
ya taj qarine se abhi rakh ke zamin par
soya hai koi baadshah-e-waqt yahin par
taswir liye leta hai har hauz ka pani
goya ki jawani ke muqabil hai jawani
qudrat ne use auj diya khak pe la ke
ye sada sa moti tha khazane mein khuda ke
hai takht to maujud sulaiman ki kami hai
jannat ka daricha to hai rizwan ki kami hai
ye gul-kada kahiye jise firdaus ka khaka
hai dafn yahin khak mein sarmaya wafa ka
goshe mein isi qasr ke do dil hain ham-aghosh
shoale hain magar maslahat-e-waqt se khamosh
is khwab mein un ko nahin khud apni khabar tak
ek nur uda jata hai parwaz-e-nazar tak
nazron mein abhi tak wahi dilchasp saman hai
aankhon mein meri khwab-gah-e-shahjaan hai

taj-mahal

dost! main dekh chuka taj-mahal
wapas chal
marmarin marmarin phulon se ubalta hira
chand ki aanch mein dahke hue simin minar
zehn-e-shaer se ye karta hua chashmak paiham
ek malika ka ziya-posh o faza-tab mazar
khud ba-khud phir gae nazron mein ba-andaz-e-sawal
wo jo raston pe pade rahte hain lashon ki tarah
khushk ho kar jo simat jate hain be-ras aasab
dhup mein khopdiyan bajti hain tashon ki tarah
dost main dekh chuka taj-mahal
wapas chal
ye dhadakta hua gumbad mein dil-e-shahjahan
ye dar-o-baam pe hansta hua malika ka shabab
jagmagata hai har ek tah se mazaq-e-tafriq
aur tarikh udhati hai mohabbat ki naqab
chandni aur ye mahal aalam-e-hairat ki qasam
dudh ki nahr mein jis tarah ubaal aa jae
aise sayyah ki nazron mein khupe kya ye saman
jis ko farhad ki qismat ka khayal aa jae
dost main dekh chuka taj-mahal
wapas chal
ye damakti hui chaukhat ye tila-posh kalas
inhin jalwon ne diya qabr-parasti ko riwaj
mah o anjum bhi hue jate hain majbur-e-sujud
wah aaram-gah-e-malika-e-mabud-mizaj
didani qasr nahin didani taqsim hai ye
ru-e-hasti pe dhuan qabr pe raqs-e-anwar
phail jae isi rauza ka jo simta daman
kitne jaan-dar janazon ko bhi mil jae mazar
dost main dekh chuka taj-mahal
wapas chal

taj-mahal

taj tere liye ek mazhar-e-ulfat hi sahi
tujh ko is wadi-e-rangin se aqidat hi sahi
meri mahbub kahin aur mila kar mujh se
bazm-e-shahi mein gharibon ka guzar kya mani
sabt jis rah mein hon satwat-e-shahi ke nishan
us pe ulfat bhari ruhon ka safar kya mani
meri mahbub pas-e-parda-e-tashhir-e-wafa
tu ne satwat ke nishanon ko to dekha hota
murda-shahon ke maqabir se bahalne wali
apne tarik makanon ko to dekha hota
an-ginat logon ne duniya mein mohabbat ki hai
kaun kahta hai ki sadiq na the jazbe un ke
lekin un ke liye tashhir ka saman nahin
kyunki wo log bhi apni hi tarah muflis the
ye imaraat o maqabir ye fasilen ye hisar
mutlaq-ul-hukm shahanshahon ki azmat ke sutun
sina-e-dahr ke nasur hain kohna nasur
jazb hai un mein tere aur mere ajdad ka khun
meri mahbub unhen bhi to mohabbat hogi
jin ki sannai ne bakhshi hai use shakl-e-jamil
un ke pyaron ke maqabir rahe benam-o-numud
aaj tak un pe jalai na kisi ne qindil
ye chaman-zar ye jamuna ka kinara ye mahal
ye munaqqash dar o diwar ye mehrab ye taq
ek shahanshah ne daulat ka sahaara le kar
hum gharibon ki mohabbat ka udaya hai mazaq
meri mahbub kahin aur mila kar mujh se

Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close