aaine ka sath pyara tha kabhi ek chehre par guzara tha kabhi aaj sab kahte hain jis ko nakhuda hum ne us ko par utara tha kabhi ye mere ghar ki faza ko kiya hua kab yahan mera tumhaara tha kabhi tha magar sab kuchh na tha dariya ke par is kinare bhi kinara tha kabhi kaise tukdon mein use kar lun qubul jo mera sare ka sara tha kabhi aaj kitne gham hain rone ke liye ek tere dukh ka sahaara tha kabhi justuju itni bhi be-mani na thi manzilon ne bhi pukara tha kabhi ye nae gumrah kya jaanen mujhe main safar ka istiara tha kabhi ishq ke qisse na chhedo dosto main isi maidan mein haara tha kabhi
This is a great pyara dil shayari. Please share if you liked this!!!