aao be-parda tumhein jalwa-e-pinhan ki qasam hum na chhedenge hamein zulf-e-pareshan ki qasam chaak-e-daman ki qasam chaak-e-gareban ki qasam hansne wale tujhe is haal-e-pareshan ki qasam mere arman se waqif nahin sharmaenge aap aap kyun khate hain nahaq mere arman ki qasam nind aae na kabhi tujh se bichhad kar zalim apni aankhon ki qasam tere shabistan ki qasam lab-e-jaanan pe fida aariz-e-jaanan ke nisar sham-e-rangin ki qasam subh-e-darakhshan ki qasam aaj tak subh-e-watan yaad hai hum ko 'akhtar' dard-e-hijran ki qasam sham-e-ghariban ki qasam