aap hi se na jab raha matlab phir raqibon se mujh ko kya matlab aarzu mere dil ki bar aae sab ka pura kare khuda matlab kar na mujh ko subuk raqibon mein yun hansi mein na to uda matlab ruk gai baat ta-zaban aa kar dil ka dil hi mein rah gaya matlab zid hi zid shaikh o barhaman ki thi warna donon ka ek tha matlab meri ek baat mein hain sau pahlu aur sab ka juda juda matlab ghair ki aur is qadar tarif hum samajhte hain aap ka matlab agli baaton ka zikr jaane do aaj is tazkire se kya matlab khush ho na-faham bhi samajh ke 'hafiz' saf aisa ho sher ka matlab
This is a great matlab sms shayari. True lovers of pagli shayari hindi mai will love this. Please share if you liked this!!!