aap bhi nahin aae nind bhi nahin aai

aap bhi nahin aae nind bhi nahin aai
nim-wa darichon se jhankti hai tanhai

jag jag uthte hain gan-kali ke mithe sur
chhed chhed jati hai gesuon ki purwai

yun mere khayalon mein teri yaad raqsan hai
jis tarah fazaon mein gunjti hai shahnai

gard-e-rah bhi chup hai sang-e-mil bhi khamosh
taliban-e-manzil ki kuchh khabar nahin aai

ek taraf gham-e-duniya ek taraf teri yaaden
aaj kal hayulon se khelte hain saudai

jin gulon ne paya ho rang-o-bu bagulon se
kaun chhin sakta hai un gulon ki ranai

ye tane tane abru ye hara-bhara chehra
hum ne qahr si lazzat pyar mein nahin pai

ab to saf sunta hun apne dil ki har dhadkan
aur kya dikhaegi ye tawil tanhai

bazm-e-dost mein 'shahzad' tum bhi kuchh hanso bolo
chup rahe se hoti hai dur dur ruswai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close