aasmanon mein bhi darwaza laga kar dekhen qamat-e-husn ka andaza laga kar dekhen ishq to apne lahu mein hi sanwarta hai so hum kis liye rukh pe koi ghaza laga kar dekhen ain mumkin hai ki jode se ziyaada mahke apne collar mein gul-e-taza laga kar dekhen baz-gasht apni hi aawaz ki ilham na ho wadi-e-zat mein aawaza laga kar dekhen