Dhala jo din to gaya nur-e-aftab bhi sath

dhala jo din to gaya nur-e-aftab bhi sath
shabab le gaya ranai-e-shabab bhi sath

wo sath tha to shab-e-zindagi charaghan thi
jilau mein rahte the anjum bhi mahtab bhi sath

hayat kya hai faqat mustaar-e-lamha-e-shauq
ye kah ke le gai mauj-e-hawa habab bhi sath

isi mein khair hai nazren jhuki rahen warna
nazar uthegi to jal jaega naqab bhi sath

hamin se raunaq-e-hasti hai is kharabe mein
jo hum mite to mitegi ye aab-o-tab bhi sath

hayat dard ki tughyaniyon mein dubi hai
gham-e-habib bhi hai zist ke azab bhi sath

khuda-e-arsh-e-sukhan se hun faizyab 'kalim'
ki tur-e-sher se laya hun main kitab bhi sath


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close