ab ke yaro barkha-rut ne manzar kya dikhlae hain

ab ke yaro barkha-rut ne manzar kya dikhlae hain
jalte bujhte chehre hain aur maddham maddham sae hain

aaj bhi suraj ke bujhte hi halki gahri sham hui
aaj bhi hum ne tanha ghar mein angare dahkae hain

kaun kisi ka dukh-sukh bante kaun kisi ki rah take
chaaron jaanib chalte-phirte khud-gharzi ke sae hain

un ki yaad mein pahron rona apni yahi bas aadat hai
log bhi kaise diwane hain hamein hansane aae hain

hum pyason ke dil mein aag lagane ka hai shauq 'hasan'
ya phir baadal aaj kisi ki zulfen chhune aae hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close