ab rahe ya na rahe koi malal-e-duniya

ab rahe ya na rahe koi malal-e-duniya
khinchti hai mera dil chashm-e-ghazal-e-duniya

lo utarti hai badan se mere khaki poshak
lo hua jata hun main sarf-e-kamal-e-duniya

mit rahe hain mere andar ke sabhi naqsh-o-nigar
ban rahe hain mere bahar khad-o-khal-e-duniya

tere chehre ka fusun bhi nazar aae to kahin
koi aaina dikhata hai jamal-e-duniya

bas yahi nakhl-e-hawas hai jo rahega sarsabz
tera iqbaal siwa taza nihaal-e-duniya

main bhi hairan mera dil bhi pashiman sa hai
jism ke hath hua jab se visal-e-duniya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close