ai dasht-e-arzu mujhe manzil ki aas de

ai dasht-e-arzu mujhe manzil ki aas de
meri thakan ko gard-e-safar ka libas de

parwardigar tu ne samundar to de diye
ab mere khushk honton ko sahra ki pyas de

fursat kahan ki zehan masail se lad saken
is nasl ko kitab na de iqtibas de

aansu na pi sakenge ye tanhaiyon ka zahr
bakhsha hai gham mujhe to koi gham-shanas de

lafzon mein jazb ho gaya sab zindagi ka zahar
lahja bacha hai is ko ghazal ki mithas de


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close