andhere ke taaqub mein kai kirnen laga dega wo andha daw par ab ke meri aankhen laga dega musalsal ajnabi chapen agar galiyon mein utrengi wo ghar ki khidkiyon par aur bhi mekhen laga dega fasil-e-sang ki tamir par jitna bhi pahra ho kisi kone mein koi kanch ki inten laga dega main is zarkhez mausam mein bhi khali hath lauta to wo kheton mein qalam kar ke meri bahen laga dega wo phir kah dega suraj se sawa neze pe aane ko kate pedon pe pahle mom ki belen laga dega