apna khaka lagta hun ek tamasha lagta hun aainon ko zang laga ab main kaisa lagta hun ab main koi shakhs nahin us ka saya lagta hun sare rishte tishna hain kya main dariya lagta hun us se gale mil kar khud ko tanha tanha lagta hun khud ko main sab aankhon mein dhundla dhundla lagta hun main har lamha is ghar se jaane wala lagta hun kya hue wo sab log ki main suna suna lagta hun maslahat is mein kya hai meri tuta phuta lagta hun kya tum ko is haal mein bhi main duniya ka lagta hun kab ka rogi hun waise shahr-e-masiha lagta hun mera talu tar kar do sach-much pyasa lagta hun mujh se kama lo kuchh paise zinda murda lagta hun main ne sahe hain makr apne ab bechaara lagta hun
This is a great gale laga lu shayari. True lovers of much attitude shayari will love this. Shayari is the most beautiful way to express yourself and this shayari paise ki is truly a work of art. Please share if you liked this!!!