ashk girne ki sada aai hai bas yahi rahat-e-goyai hai sath par tir rahe hain din raat nind ek khwab ki gahrai hai in parindon ka palat kar aana ek takhayyul ki pazirai hai aks bhi ghair hai aaina bhi ye tahayyur hai ki tanhai hai un darichon se ki jo the hi nahin ek udasi hai ki dar aai hai dil numudar hua hai dil mein aankh ek aankh se bhar aai hai us ki aaankhon ki khamoshi 'adil' dubte waqt ki goyai hai