baat baDhti gai aage meri nadani se

baat badhti gai aage meri nadani se
kitna arzan hua main apni farawani se

khak hi khak nazar aai mujhe chaaron taraf
jal gae chand sitare meri tabani se

be-tahasha jiye hum log hamein hosh nahin
waqt aaram se guzra ki pareshani se

ab mere gird thaharti nahin diwar koi
bandishen haar gain be-sar-o-samani se

aaega aisa bhi ek mod safar mein 'rahi'
gard bhi meri na paoge tum aasani se


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close