barabar KHwab se chehron ki hijrat dekhte rahna

barabar khwab se chehron ki hijrat dekhte rahna
guzar chukne pe bhi wo sham-e-rahlat dekhte rahna

dhanak ki barishen barfab shahron par nahin hotin
yahan phulon ka rasta umr bhar mat dekhte rahna

kitabon ki tahon mein dhundhna na-dida ashya ka
palat kar phir koi khali ibarat dekhte rahna

hujum-e-shahr ke sannate mein gum-sum wo tila sa
usi ko aate jate be-zarurat dekhte rahna

jise main chhu nahin sakta dikhai kyun wo deta hai
farishton jaisi bas meri ibaadat dekhte rahna

'musawwir' kuchh na kahne ka ye dukh bhi sakht zalim hai
talab kar legi lafzon ki adalat dekhte rahna


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close