bas aur kya kahun is silsila mein tauba hai

bas aur kya kahun is silsila mein tauba hai
mujhe jo pahuncha hai dukh doston se pahuncha hai

mere wajud se hairat mein hai mufassir-e-aql
wo raaz hun jo na mastur hai na ifsha hai

mujhe hayat se hai is liye bhi dilchaspi
ye ek din ka nahin umr-bhar ka sauda hai

wo tere lutf-e-tabassum ki naghmagi ai dost
ki jaise qaus-e-quzah par sitar bajta hai

ye zindagani ibarat khalish se hai yani
khalish jo hai to chaman hai nahin to sahra hai

hain teri ishwa-gari ke ye mukhtalif pahlu
kalisa kya hai haram kya hai but-kada kya hai

'nazir' qissa-e-zakhm-e-nihan kahun kis se
ye dastan-e-alam sakht ruh-farsa hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close