bayaz-e-kohna mein jiddat bhari tahrir rakhni hai

bayaz-e-kohna mein jiddat bhari tahrir rakhni hai
purani niyam mein yani nai shamshir rakhni hai

fasil-e-fikr se girta hua misra uthana hai
sirhane ab mujhe har dam kitab-e-'mir' rakhni hai

mujhe ta-umr ranj-e-qaid ko mahsus karna hai
mujhe ta-umr apne pas ye zanjir rakhni hai

sajao khwab koi raat ki be-rang aankhon mein
agar baqi dilon mein khwahish-e-tabir rakhni hai

khudi se be-khudi ki jang hai goya mujhe is pal
muqabil apne hi apni koi taswir rakhni hai

hamein apne lahu se dasht ek gulzar karna hai
hamein ta-hashr zinda azmat-e-takbir rakhni hai

use duniya ke har gham se mukammal pak to kar lo
agar is dil mein buniyaad-e-gham-e-shabbir rakhni hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close