bich dilon mein utra to hai dard tera albela to hai rup tera ai raj-kumari jaise meri rachna to hai chand ko tum aawaz to de lo ek musafir tanha to hai srijan-haara srijan-haara tujh bin baalak bilka to hai sirr-e-alam kuchh kuchh hum ne socha to hai jaana to hai kitni subhen barham hongi shoala imshab bhadka to hai kahne wale kahta ja tu sunne wala sunta to hai muzd kabhi barbaad na hogi nazd-o-dur ye charcha to hai marg ko yun be-nam na samjho ek takhayyul ujla to hai subh-e-ishq akeli kab hai sham-e-gham ka pahra to hai maggham maggham pinhan pinhan baat ka afsun gahra to hai khwab sahi gar naqsh-e-alam insan aata jata to hai khoj mein us ki barson phir ke chand-nagar pahchana to hai raste baste bagh mein yaro marg ka har-dam khatka to hai tera 'azim' ai jaan-e-alam 'mir' ki lai mein gata to hai