dard-e-dil jab kabhi ayan hoga karb chehre se bhi bayan hoga dil ke arman bujh gae sare ab to har samt bas dhuan hoga meri hi aankhen jab samundar hain khun bhi mera hi rawan hoga us jahan mein to jaane kal kya ho is jahan mein mera makan hoga meri aankhon mein jo basa hai 'sahar' kal na jaane kidhar kahan hoga