dekhe kahin mujhko to lab-e-baam se haT jae

dekhe kahin mujh ko to lab-e-baam se hat jae
is waza se us ki mera dil kyunki na phat jae

aa jae kahin baad ka jhonka to maza ho
zalim tere mukhde se dupatta jo ulat jae

ai nala-e-jaan-kah bahut ho chuki bas kar
darta hun kahin nind kisi ki na uchat jae

dekhe kahin raste mein khada mujh ko to zid se
aata ho idhar ko to udhar hi ko palat jae

chal baith 'nisar' ek taraf khalq se hokar
niklega wo ghar se pa kahin bhid to chhat jae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close