dil mein hai talab aur dua aur tarah ki hai khak-nashini ki saza aur tarah ki jab rakh se utthega kabhi ishq ka shoala phir paegi ye khak shifa aur tarah ki jate hue mausam ki to pahchan yahi hai dastak mein mujhe dega sada aur tarah ki hai hijr ka pairaya-e-fan aur tarah ka aur wasl-kahani hai zara aur tarah ki shab bhi hai wahi hum bhi wahi tum bhi wahi ho hai ab ke magar apni saza aur tarah ki