dil mein KHayalat-e-rangin guzarte hain jiyun boss phulon ke rangon mein rahiye

dil mein khayalat-e-rangin guzarte hain jiyun boss phulon ke rangon mein rahiye
wahshat ke jangal mein kab lag pareshan ho gham ke bhaaron ke sangon mein rahiye

jo koi ki hai dasht wahshat ka sakin use hosh ke shahriyon se hai nafrat
ye diwangi ka nipat khub aalam hai zanjir ki ja ulangon mein rahiye

pindar-e-hasti sen wahmi khayalon ne kasrat ki tohmat lagae hain nahaq
dar-asl mein josh-e-tufan-e-wahdat hai jiyun mauj-e-dariya umangon mein rahiye

is sarw-qamat ke josh-e-mohabbat mein az-bas ki aazad sab sen hua hun
manind-e-qumri badan kun laga ra kah yahu ke dam bhar malangon mein rahiye

nahaq 'siraj' aah-e-hasrat ki aatish sen har dam mein sau bar jumban sabab kiya
yakbar shoale pe girne ki tarhon kun malum karne patangon mein rahiye


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close