dil munafiq tha shab-e-hijr mein soya kaisa

dil munafiq tha shab-e-hijr mein soya kaisa
aur jab tujh se mila tut ke roya kaisa

zindagi mein bhi ghazal hi ka qarina rakkha
khwab-dar-khwab tere gham ko piroya kaisa

ab to chehron pe bhi katbon ka guman hota hai
aankhen pathrai hui hain lab-e-goya kaisa

dekh ab qurb ka mausam bhi na sarsabz lage
hijr hi hijr marasim mein samoya kaisa

ek aansu tha ki dariya-e-nadamat tha 'faraaz'
dil se bebak shanawar ko duboya kaisa


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close