duniya-e-dani hai matlab ki sab rishte nate toD diye

duniya-e-dani hai matlab ki sab rishte nate tod diye
ab khud pe bharosa karna hai jitne the sahaare chhod diye

ab dil se dil ka milna kya bas hath milana kafi hai
derina taur tariqon ne chalte chalte dam tod diye

duniya-e-mohabbat ke andar nafrat ka andhera jin se badhe
us daur-e-taraqqi ke aise jitne hain utha kar tod diye

jo aandhiyon se takra bhi saken zulmat ka fusun bhi tod saken
taqon mein saja kar pahle hi to kuchh aise rakh chhod diye

kya milna-julna aapas mein ye sab kahne ki baaten hain
hum dekh chuke is daur ne to dil tod diye sar jod diye

jab zulm ke tufan umde hain jab yas ke baadal chhae hain
duniya ko diya hai azm-e-jawan tarikh ko hum ne mod diye

ai daur-e-siyasat ahd-e-zabun 'jarrar' se ye ummid na rakh
us dar pe jhuka di peshani hath us ke aage jod diye


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close