ghaDi bhar rang nikhra surat-e-gul-ha-e-tar mera

ghadi bhar rang nikhra surat-e-gul-ha-e-tar mera
usi hasti pe us gulshan mein tha ye shor-o-shar mera

nizam-e-bazm-e-duniya hashr ke maidan ka naqsha hai
yahi hai shamat-e-isyan bhatakna dar-ba-dar mera

samajhta hun wasila maghfirat ka sharm-e-isyan ko
ki ashkon se mere dhul jaega daman-e-tar mera

faza-e-kaba-e-athar ka naqsha aankh se dekhun
ilahi is hawa mein khushk ho daman-e-tar mera

dar-e-kaba pe jab sajde kiye aawaz ye aai
buton ki thokaren kha kar tujhe sujha hai ghar mera

naqab-e-husn jab uttha to aankhen khul gain meri
farogh-e-husn tha dam-bhar ko manind-e-sharar mera

use parde mein rah kar bhi khayal aata hai rah rah kar
ki raaz ifsha na kar de khalq mein husn-e-bashar mera

guzar kar khana-e-dil se badhun kyun tur ki jaanib
ki barq-e-husn se jalne ko hai maujud ghar mera

sanam qadmon pe girte hain zabanen band rahti hain
buton par roab hai allahu-akbar is qadar mera

mohabbat ki har ek manzil pe sahra-e-adam nikla
khizar bhi sath de sakte nahin har gam par mera

farishte bhi na samjhe aaj tak meri haqiqat ko
ki taj-e-ashraf-e-makhluq ki zinat hai sar mera

zaban par zikr jari tha barabar hamd-e-khaliq ka
azal mein kaam thahra midhat-e-khairul-bashar mera

zaban-e-shama main ne kat li hai bad-guman ho kar
ki raaz ifsha na kar de subh ko sham-e-sahar mera

meri hasti se pahle kaun samjha sirr-e-wahdat ko
rahega tazkira dair-o-haram mein umr-bhar mera

wo qatra hun ki jis ki mauj mein bahr-e-haqiqat hai
wo zarra hun ki munh takte hain khurshid-o-qamar mera

dil-e-majruh ki haalat pe rahm aaya masiha ko
dawa ke nam par hansne laga zakhm-e-jigar mera

zara pine to de saqi sharab-e-marifat mujh ko
udhar phir jaega qibla bhi rukh hoga jidhar mera

sada-e-kalematul-haq mein teri tahrik shamil hai
anal-haq kahta hai har qatra-e-khun-e-jigar mera

yahi surat hai ab taqdir ke chakkar nikalne ki
ilahi aastana ho haram ka aur sar mera

tujhe ai charkh kya malum rutba dard-e-ulfat ka
karega nam raushan khalq mein dagh-e-jigar mera

tamanna hai ki 'rasikh' hamd-goi ke wasile se
riyaz-e-dahr mein nakhl-e-sukhan ho bar-war mera


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close