hain ghar ki muhafiz meri dahki hui aankhen

hain ghar ki muhafiz meri dahki hui aankhen
main taq mein rakh aaya hun jalti hui aankhen

ek pal bhi kisi mod pe rukne nahin detin
kanton ki tarah jism mein chubhti hui aankhen

raste mein qadam phunk ke rakhna mere pyaro
hain chaaron taraf shahr mein bikhri hui aankhen

yun us ke bichhad jaane pe aansu na bahao
manzar ko taras jaengi bhigi hui aankhen

qatil ke siwa koi samajh hi nahin sakta
kya dekhti hain tasht mein rakkhi hui aankhen

kya jaaniye kis khwab ki tabir mein gum hain
zulfon ki ghani chhanw mein uljhi hui aankhen

'saghar' shab-e-tira mein ujalon ki amin hain
nafrat ke samundar mein ye bahti hui aankhen


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close