basti basti ghor andhera suna suna jada tha

basti basti ghor andhera suna suna jada tha
shab ke pichhle-pahar ka sannata kuchh aur ziyaada tha

sehn-e-chaman mein rawish rawish par aas ke phul ugae the
lekin ye mahsus hua har manzar pesh-uftada tha

lafz koi aaseb na the log us ki sada se kyun darte
waqt ke andhe kunen ka ye aashob to sidha-sada tha

jite jagte phul badan mein kaise kaise rog lage
dil ka kya hai dil to apne khwabon ka shahzada tha

maslihaten aade aaen ya ahl-e-junun dil chhod gae
jo hona hai aaj ho jae dil is par aamada tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close