har-chand be-nawa hai kore ghaDe ka pani

har-chand be-nawa hai kore ghade ka pani
diwan 'mir' ka hai kore ghade ka pani

uplon ki aag ab tak hathon se jhankti hai
aankhon mein jagta hai kore ghade ka pani

jab mangte hain sare angur ke sharare
apni yahi sada hai kore ghade ka pani

kaghaz pe kaise thahren misre meri ghazal ke
lafzon mein bah raha hai kore ghade ka pani

khana-ba-dosh chhori takti hai chori chori
us ka to aaina hai kore ghade ka pani

chidiyon si chahchahaen panghat pe jab bhi sakhiyan
chup-chap ro diya hai kore ghade ka pani

us ke lahu mein shayad tasir ho wafa ki
jis ne kabhi piya hai kore ghade ka pani

izzat zamir mehnat danish hunar mohabbat
lekin kabhi bika hai kore ghade ka pani

dekhun jo chandni mein lagta hai mujh ko 'aslam'
pighli hui dua hai kore ghade ka pani


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close