har sher se mere tera paikar nikal aae

har sher se mere tera paikar nikal aae
manzar ko hata kar pas-e-manzar nikal aae

ye kaun nikal aaya yahan sair-e-chaman ko
shakhon se mahakte hue zewar nikal aae

is bar bulawe mein kisi mah-jabin ke
wo zor-talab tha ki mere par nikal aae

ye wasl sikandar ke muqaddar mein nahin tha
hum kaise muqaddar ke sikandar nikal aae

shab aai to zulmat ki mazammat mein sitare
diwar-e-falak tod ke bahar nikal aae

us baat ka aandhi ko guman bhi nahin hoga
lo ek thi fanus bahattar nikal aae

ilham ka mausam utar aata hai zamin par
basti mein agar ek sukhnawar nikal aae

un sang-zanon mein koi apna bhi tha shayad
jo dher se ye qimti patthar nikal aae

pindar-e-hunar zauq-e-nazar shiddat-e-ikhlas
duniya ke muqabil mere lashkar nikal aae

kuchh soch ke ummid-e-wafa bandhte 'anjum'
chashme ki jagah kaise samundar nikal aae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close