hum dil ki nigahon se jahan dekh rahe hain wo baat nazar wale kahan dekh rahe hain jin hathon mein kal amn ka parcham tha unhi mein hairat hai ki shamshir-o-sinan dekh rahe hain kya jaaniye kyun sog ka manzar hai chaman mein khamosh zaban ashk rawan dekh rahe hain aakhir koi afsos kare bhi to kahan tak har samt tabahi ka saman dekh rahe hain aaega dil-o-jaan bhi lutane ka zamana kuchh aaj bhi ulfat ka nishan dekh rahe hain mumkin hai khirad-mandon ko diwana bana de jo azm mere dil mein jawan dekh rahe hain un se koi ummid-e-wafa rakhe to kaise har baat mein jo sud-o-ziyan dekh rahe hain khamoshi se hal apne masail nahin honge kuchh kahiye 'sahar' ahl-e-zaban dekh rahe hain