hum zindagi-shanas the sab se juda rahe

hum zindagi-shanas the sab se juda rahe
basti mein haul aaya to jangal mein ja rahe

kamre mein mere dhup ka aana ba-waqt-e-subh
aankhon mein kash ek hi manzar basa rahe

phir aaj mere dard ne mujh ko mana liya
koi kisi aziz se kab tak khafa rahe

kab tak kisi padaw pe wahshat kare qayam
kab tak kisi ke hijr ka saya ghana rahe

baba ye mujh haqir ko itni badi dua
tu baat ka dhani hai tera qad siwa rahe

'shahpar' sada-e-waqt se kar lo musalahat
mahrumiyon ke dar pe koi kyun pada rahe


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close