husn-e-pari ek jalwa-e-mastana hai us ka hushyar wahi hai ki jo diwana hai us ka gul aate hain hasti mein adam se hama-tan-gosh bulbul ka ye nala nahin afsana hai us ka giryan hai agar shama to sar dhunta hai shola malum hua sokhta-parwana hai us ka wo shokh nihan-ganj ki manind hai us mein mamura-e-alam jo hai virana hai us ka jo chashm ki hairan hui aaina hai us ki jo sina ki sad chaak hua shana hai us ka dil qasr-e-shahanshah hai wo shokh us mein shahanshah arsa ye do aalam ka jilau khana hai us ka wo yaad hai us ki ki bhula de do jahan ko haalat ko kare ghair wo yarana hai us ka yusuf nahin jo hath lage chand diram se qimat jo do aalam ki hai baiana hai us ka aawargi-e-nikhat-e-gul hai ye ishaara jame se wo bahar hai jo diwana hai us ka ye haal hua us ke faqiron se huwaida aaluda-e-duniya jo hai begana hai us ka shukrana-e-saqi-e-azal karta hai 'atish' labrez mai-e-shauq se paimana hai us ka