insan ba-yak nigah bura bhi bhala bhi hai yani wo musht-e-khak to hai kimiya bhi hai ai gham-nasib kis se hai mumkin tera ilaj ai bad-nasib tere maraz ki dawa bhi hai kyun kar kahen ki jis ko khudai na thi qubul wo be-niyaz aap ke dar ka gada bhi hai tere wajud se bhala inkar ho kise ai tu ki zarre zarre mein jalwa-numa bhi hai banda-nawaziyon pe na itraiye bahut banda-nawaz aap se badh kar khuda bhi hai shoala se dur rahiye ki shair sahi magar ziddi hai bewaquf hai dil ka bura bhi hai