jhuti hi tasalli ho kuchh dil to bahal jae dhudli hi sahi lekin ek shama to jal jae is mauj ki takkar se sahil bhi larazta hai kuchh roz to tufan ki aaghosh mein pal jae majburi-e-saqi bhi ai tishna-labo samjho waiz ka ye mansha hai mai-khwaron mein chal jae ai jalwa-e-jaanana phir aisi jhalak dikhla hasrat bhi rahe baqi arman bhi nikal jae is waste chheda hai parwanon ka afsana shayad tere kanon tak paigham-e-amal jae mai-khana-e-hasti mein mai-kash wahi mai-kash hai sambhle to bahak jae bahke to sambhal jae hum ne to 'fana' itna mafhum-e-ghazal samjha khud zindagi-e-shaer ashaar mein dhal jae