kaam diwanon ko shahron se na bazaron se

kaam diwanon ko shahron se na bazaron se
mast hain aalam-e-ijad ke nazzaron se

zulfen bal khati hain ya jhumti hai kali ghata
barish-e-nur hai har su tere rukhsaron se

wan naqab utthi yahan chandni ne khet kiya
kat gai zulmat-e-shab chand se rukhsaron se

dekhta rah gaya aaina kisi ki surat
zulfen atkheliyan karti rahin rukhsaron se

dekhen kis tarah basar hote hain ayyam-e-junun
yan to hai samna har dam inhin gham-khwaron se

hath uljha hai gareban mein khade dekhte hain
aur ummid koi kya kare gham-khwaron se

kashish-e-dasht-e-bala hubb-e-watan daman-gir
aaj ghar chhutta hai pahle-pahal aawaron se

marte dam tak teri talwar ka dam bharte rahe
haq ada ho na saka phir bhi wafadaron se

be-dhadak pichhle pahar nala-o-shewan na karen
kah de itna to koi taza-giraftaron se

mausam-e-gul nahin paigham-e-ajal tha sayyaad
dekh khali hai qafas aaj giraftaron se

kya bura haal hai angdaiyan lete lete
saqiya naz ab achchha nahin mai-khwaron se

kanpte hathon se saghar ko bachaya to bahut
kya kahen khud hi na sambhla gaya mai-khwaron se

sar ko takra ke gaya hai koi sahra ki taraf
khun sabit hai abhi shahr ki diwaron se

ediyan wadi-e-ghurbat mein ragadte hi rahe
dur khinchti gai manzil watan-awaron se

kan mein pichhle pahar aai ek aawaz-e-hazin
ab to gham-khwar bhi diq hain tere bimaron se

jhilmilane laga jab 'yas' charagh-e-sahari
phir to thahra na gaya hijr ke bimaron se


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close