kabhi yaqin se hui aur kabhi guman se hui tere huzur rasai kahan kahan se hui falak na mah-e-munawwar na kahkashan se hui khuli jab aankh mulaqat khak-dan se hui na falsafi na mufakkir na nukta-dan se hui ada jo baat hamesha teri zaban se hui khuli na mujh pe bhi diwangi meri barson mere junun ki shohrat tere bayan se hui jo tere nam se mansub mera nam hua to shahr bhar ko adawat bhi meri jaan se hui suna ke sab ko akela hi ro raha tha main kisi ki aankh na tar meri dastan se hui jinhen tha dubna un ko bhi de diya rasta kabhi kabhi ye khata bahr-e-be-karan se hui 'faragh' hath se kya daman-e-khirad chhuta ki sar pe sang ki barish jahan-tahan se hui