nazar se jis ki ab mastur hun main usi ki yaad se mamur hun main chatanon ki tarah madd-e-muqabil magar andar se chakna-chur hun main shab-e-zulmat nahin hawwa ki beti ujala hun sahar ka nur hun main mohabbat ka taqaza hai murawwat samajhna ye nahin majbur hun main wafa ka pyar ka paikar hun lekin jo ho sayyaad to zambur hun main hawa le kar udi hai zard patte chaman mein nargis-e-ranjur hun main nishan us ki jabin ka kah raha hai tajalli se jala hun tur hun main 'ana' tuti faqat ruswaiyon se khushamad se to koson dur hun main