kabhi zaban pe na aaya ki aarzu kya hai gharib dil pe ajab hasraton ka saya hai saba ne jagti aankhon ko chum chum liya na jaane aakhir-e-shab intizar kis ka hai ye kis ki jalwagari kaenat hai meri ki khak ho ke bhi dil shola-e-tamanna hai teri nazar ki bahaar-afriniyan taslim magar ye dil mein jo kanta sa ek khatakta hai jahan-e-fikr-o-nazar ki uda rahi hai hansi ye zindagi jo sar-e-rahguzar tamasha hai ye dasht wo hai jahan rasta nahin milta abhi se laut chalo ghar abhi ujala hai yahi raha hai bas ek dil ke gham-gusaron mein thahar thahar ke jo aansu palak tak aata hai thahar gae ye kahan aa ke roz o shab 'akhtar' ki aaftab hai sar par magar andhera hai