khub nibhegi hum donon mein mere jaisa tu bhi hai thoda jhuta main bhi thahra thoda jhuta tu bhi hai jang ana ki haar hi jaana behtar hai ab ladne se main bhi hun tuta tuta sa bikhra bikhra tu bhi hai jaane kis ne dar boya hai hum donon ki rahon mein main bhi hun kuchh khauf-zada sa sahma sahma tu bhi hai ek muddat se fasla qaem sirf hamare bich hi kyun sab se milta rahta hun main sab se milta tu bhi hai apne apne dil ke andar simte hue hain hum donon gum-sum gum-sum main bhi bahut hun khoya khoya tu bhi hai hum donon tajdid-e-rifaqat kar lete to achchha tha dekh akela main hi nahin hun tanha tanha tu bhi hai had se 'faragh' aage ja nikle donon ana ki rahon par sarf-e-pasheman main hi nahin hun kuchh sharminda tu bhi hai