kuchh is tarah se zamane pe chhana chahta hai

kuchh is tarah se zamane pe chhana chahta hai
wo aaftab pe pahre bithana chahta hai

talluqat ke dhage to kab ke tut chuke
magar ye dil hai ki phir aana jaana chahta hai

jo qatra qatra ikattha hua tha aankhon mein
wo khun ab meri palkon pe aana chahta hai

chatakh raha hai jo rah rah ke mere sine mein
wo mujh mein kaun hai jo tut jaana chahta hai

amir-e-shahr teri bandishen maaz-allah
faqir ab teri basti se jaana chahta hai

ye khwahishat ka panchhi ajib hai har roz
nai fazaen naya aab-o-dana chahta hai

udasi jhankne lagti hai us ki aankhon se
wo shakhs jab bhi kabhi muskurana chahta hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close