hue jab se mohabbat-ashna hum

hue jab se mohabbat-ashna hum
nahin late zaban par muddaa hum

saadat hai jo ban jaen jahan mein
kisi majbur dil ka aasra hum

chalae tir chhup-chhup kar jinhon ne
karenge un ke haq mein bhi dua hum

mitega dagh-e-sajda kab jabin se
khuda jaane banenge kab khuda hum

hamare darmiyan kyun fasle hain
kabhi socha na hum ne mil ke baham

khamoshi maslak-e-sahab-dilan hai
kisi ko bhi nahin kahte bura hum

hamari ruh naghma-khwan rahegi
fana ho kar nahin honge fana hum

hamein hai e'timad apni wafa par
nahin karte kisi ka bhi gila hum

zamana-saz nikle tum to kya hai
zara si baat ko kya den hawa hum

agar izzat na di ahl-e-haram ne
utha laenge apna boriya hum

tasawwur bhi nahin baqi khushi ka
gham-e-duniya mein yun hain mubtala hum

musalsal khamushi ke baad 'rifat'
sar-e-maqtal hue hain lab-kusha hum


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close