kyun tere sath rahin umr basar hone tak hum na dekhenge imarat ko khandar hone tak tum to darwaza khula dekh ke dar aae ho tum ne dekha nahin diwar ko dar hone tak chup rahin aah bharen chikh uthen ya mar jaen kya karen be-khabaro tum ko khabar hone tak hum pe kar dhyan are chand ko takne wale chand ke pas to mohlat hai sahar hone tak haal mat pochhiye kuchh baaten batane ki nahin bas dua kije duaon mein asar hone tak sag-e-awara ke manind mohabbat ke faqir dar-ba-dar hote rahe shahr-badar hone tak aap mali hain na suraj hain na mausam phir bhi bij ko dekhte rahiyega samar hone tak dasht-e-khamosh mein dam sadhe pada rahta hai panw ka pahla nishan rah-guzar hone tak fani hone se na ghabraiye 'faris' ki hamein an-ginat martaba marna hai amar hone tak