main ek jhuti kahani likh raha hun lihaza zindagani likh raha hun tu jhilon ki rukawat sochti rah main dariya ki rawani likh raha hun sarabon se kahin bujhti hain pyasen guman ke munh pe pani likh raha hun badan ka tarjuma to kar diya hai ab aankhon ke maani likh raha hun mujhe likhna tha apne bare mein kuchh so apni raegani likh raha hun