mere wajud ki duniya mein hai asar kis ka main jaanta hi nahin hun main ham-safar kis ka na mujh pe tanz karo dosto ki be-ghar hun tumhin kaho ki hai tum mein se apna ghar kis ka is ek sawal ka suraj bhi de saka na jawab main sirf saya nahin rup hun magar kis ka jo mere pas tha sab lut le gaya koi kiwad band rakhun ab mujhe hai dar kis ka har ek shakhs raha mahw-e-shaghl-e-sang-zani kise padi thi ki dekhe uda hai sar kis ka ye aur baat saza us ko mil gai warna chala hai zor dil-e-na-subur par kis ka tumhaari baat alag hai wagarna ai 'manzur' bacha hai ab bhi sawad-e-dil-o-nazar kis ka