muntashir sayon ka hai ya aks-e-be-paikar ka hai muntazir ye aaina kya jaane kis manzar ka hai reza reza raat bhar jo khauf se hota raha din ko sanson par abhi tak bojh us patthar ka hai wo kisi farhang ka qaidi na ab tak ho saka wo shikasta lafz meri ruh ke andar ka hai har koi hone laga hai din ko khwabon ka asir khauf har ek aankh mein ek dur ke manzar ka hai dekh kar bhi kya kare 'manzur' us ka karb hai wo to juz aankhon ke sar se panw tak marmar ka hai